Mein Kaun Hoon?
Kaun Hoon Mein?
Ugte suraj ki aseemit failti kiran hoon mein ya
Amavas ki kalima mein gum chandrama hoon mein?
Har Disha mein Bekhauf behti hawa hon mein ya
Chirag mein band gin hoon mein?
Dor se tuti hui lehrati patang hoon mein ya
zanjeeroin mein jakda hua kaidi hoon mein?
Aakash mein udta hua panchi hoon mein ya
Jaal mein fasa hua pakshi hoon mein?
Azad hoon mein ya kaid hoon mein?
Parvatoin ke shikharoin ko chuta hua badal hoon mein ya
Badal mein kaid pani hoon mein?
Kabhi yahan kabhi wahan barasta sawan hoon mein ya
Miloin jami hui barf hoon mein?
Dharti ki god mein chalakti hui nadi hoon mein ya
thahra hua talab ka pani hoon mein?
Kabhi Tufani Lehar kabhi oas ki boond hoon mein ya
Kabhi akhoin mein chupa hua aansoo hoon mein?
Azad hoon mein ya kaid hoon mein?
Kaun Hoon Mein?
By: deepwithin
infi...maxxxx like... The only way I can explain 0 comments yet is either i am the first one to see it, or ppl didn't understand the hindi(in this script :P)
ReplyDelete